Yeh Mard Bade Dil Sard (Female) Lyrics | Miss Mary – 1957 | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

(Yeh mard bade dil sard bade bedard na dhoka khaana
Mithi mithi batiyon mein bhul ke na aana) – (2)

(Hote hai chhote dil ke lambi jubaan waale
Dete hai maal khota moti dukaan waale) – (2)
Chhota muh aur baat badi yeh hai dastur puraana
Mithi mithi batiyon mein bhul ke na aana
Yeh mard bade dil sard bade bedard na dhoka khaana
Mithi mithi batiyon mein bhul ke na aana

(Baat pate ki hai yeh, maano jo mera kehana
Achchha hai aag se toh dur hi dur rehana) – (2)
Jhuti inaki jaat badi yeh hai dastur puraana
Mithi mithi batiyon mein bhul ke na aana

(Yeh mard bade dil sard bade bedard na dhoka khaana
Mithi mithi batiyon mein bhul ke na aana) – (2)

MovieMiss Mary - 1957
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerHemant Kumar
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *