So Gaya Saara Jamaana Lyrics | Miss Mary – 1957 | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi – (2)
Ai hawa jaakar use tu saath kyun laati nahi
So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi, so gaya

Chaand pehale bhi nikalata tha magar aisa na tha – (2)
Aaj aisi baat kyun hai, kuchh samajh aati nahi
So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi, so gaya

Chaandani kuchh chaand se kehkar jamin par aa gayi – (2)
Jaane kya dekha yahaan abb laut kar jaati nahi
So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi
Ai hawa jaaka use tu saath kyun laati nahi
So gaya saara jamaana nind kyun aati nahi, so gaya

MovieMiss Mary - 1957
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerHemant Kumar
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *