Kona Lyrics | Nakhrewaalii | Tushar Joshi

Kona Lyrics | Nakhrewaalii | Tushar Joshi

Tune Bhi Wahi Kiya Jo Maine Kiya
Lekin Buri Sirf Main Bani
Tu Achchha Hi Raha

Yahan Aane Ki Aadat Nahi Hai
Ye Galiyaan Abhi Ajnabi Hain
Ek Tujhko Hi Pehchante Hain
Humein Zyada Pata Bhi Nahi Hai

Phir Bhi Kabhi Tujhse Mila
Toh Maine Socha Yahi Hai

Kona Mere Purane Ghar Ka
Kaise Tere Shehar Aa Gaya
Tune Jahan Naam Mera Pukara
Yun Kyun Laga Ki Ghar Aa Gaya

Lamhe Jo Tere Sang Beette Hain
Unka Zara Sa Hi Kuch Alag Hai
Hmm Lamhe Jo Tere Sang Beette Hain
Unka Zara Sa Hi Kuch Alag Hai

Tujhse Baatein Karke Ye Dekha
Ki Baaton Mein Bhi Hota Namak Hai
Mausam Bhi Kaise Ye Aaye
Na Aise Ki Baadal Hain Taare Hain
Saare Hamare Hain

Jhonka Koi Jo Kahin Ko Chala Tha
Phoolon Ko Leke Idhar Aa Gaya
Tune Jahan Naam Mera Pukara
Yun Kyun Laga Ki Ghar Aa Gaya

Kona Mere Purane Ghar Ka
Kaise Tere Shehar Aa Gaya

MovieNakhrewaalii
SingerTushar Joshi
DirectorRahul Shanklya
Music ComposerVayu, Vaibhav Pani
LyricistVayu
Star CastAnsh Duggal, Akash Makhi, jaKumud Mishra
LabelJioStudios

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *