(Kahe bindiya lagai
Maine nindiya gawai) – (2)
Piya ko pasand nahi aai – 2
Maine rup ki rani teri kadar na jani
Rup ki rani teri kadar na jani
Mai hu bada saudai – 2
Kahe jhuk jhuk jaye ambua ki dali
Jane na bagiya ka mali – 2
Haye re is dunia ke dastur nirale
Is dunia ke dastur nirale
Prit ki reet nirali – 2
O saiya chodo
Bahane roke parwat rashta
Rukti nahi purwai – 2
Kahe chup chup
Rahta mai tumse na kahta
Dil me agar kuch hota – 2
Aata thoda sa mohe koi jadu nigoda
Mohe koi jadu nigoda
Tumpe asar kuch hota – 2
Mai jab jab dekha tujhe tab tab dil me
Pyar ne li angdai – 2
Kahe bindiya lagai
Maine nindiya gawai
Piya ko pasand nahi aai – 2
Mai hu bada saudai
Piya ko pasand nahi aai
Mai hu bada saudai
| Movie | Sharda (1981) |
| Singer | Anuradha Paudwal, Mohammed Rafi |
| Music Composer | Laxmikant-Pyarelal |
| Lyricist | Anand Bakshi |