Gham Na Kar Khushi Ka Daur Aayega Lyrics | Shahzada | Talat Mahmood | S Mohinder

Gham Na Kar Khushi Ka Daur Aayega Lyrics | Shahzada | Talat Mahmood | S Mohinder

Gam na kar khushi kaa daur aayega
Gam na kar zamana aur aayega
Gam na kar khushi kaa daur aayega
Gam na kar zamana aur aayega

Khatm ho gayi sitam ki daastan
Khatm ho gayi sitam ki daastan
Jhuk raha hai ab zami pe aasma
Ab na ye hansi teri rulaayega
Gam na kar zamana aur aayega

Aa gaye hai dekho din bahaar ke
Aa gaye hai dekho din bahaar ke
Din guzar gaye hai intazaar ke
Din guzar gaye hai intazaar ke
Duhkh kaa ye sama badal hi jaayega
Gam na kar zamana aur aayega

Chaar din guzaar de hansi khushi
Chaar din guzaar de hansi khushi
Aa gaya vo vaqt jab ki aadmi
Thokare nasib ke na khaayega
Gam na kar zamana aur aayega

Dekhna ye raat kat hi jaayegi
Dekhna ye raat kat hi jaayegi
Iske baad subah muskuraayegi
Iske baad subah muskuraayegi
Ik naya jahaan jagmagaayega
Gam na kar zamana aur aayega
Gam na kar khushi kaa daur aayega
Gam na kar zamana aur aayega

MovieShahzada
SingerTalat Mahmood
DirectorMohan Sinha
Music ComposerS Mohinder
LyricistTanveer Naqvi
Star CastAjit, Sheela Ramani, Krishna Kumari, Habib, Begum Para, Johny Walker

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *