Dil Nange Pair Jaise Lyrics | Nine 9 (Album) | Shankar Mahadevan | Shankar Mahadevan

Dil Nange Pair Jaise Lyrics | Nine 9 (Album) | Shankar Mahadevan | Shankar Mahadevan

Dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain
Dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain
Ek dard ka samundar
Jaise ubal raha hain
Ek dard ka samundar
Jaise ubal raha hain
Ho dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain

Lamhon ke chehre kitane
Pile se pad gaye
Ehsaas ke badan me
Sau tir gadh gaye hain
Lamhon ke chehre kitane
Pile se pad gaye
Ehsaas ke badan me
Sau tir gadh gaye hain
Maayusiyo ki aandhi
Maayusiyo ki aandhi
Saanso me chal rahi hain
Ummid ke jo ghar the
Saare ujad gaye hain
Saare ujad gaye hain
Ek aag hain ki jisme
Jo kuchh hain jal raha hai
Ek aag hain ki jisme
Jo kuchh hain jal raha hai
Dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain

Aasaan the jo raste
Won sare kho gaye hain
Kuchh log jaate jaate
Kante so bo gaye hain
Sab doston ki aankhe
Sab doston ki aankhe
Patthar ki ho gayi hain
Sab ajanbi hain jaise
Sab gair ho gaye hain
Sab gair ho gaye hain
Tanhaai ka andhera
Nas nas me dhal raha hain
O tanhaai ka andhera
Nas nas me dhal raha hain
Dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain

Dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain
Ek dard ka samundar
Jaise ubal raha hain
Dil nange pair jaise
Kircho pe chal raha hain

MovieNine 9 (Album)
SingerShankar Mahadevan
Music ComposerShankar Mahadevan
LyricistJaved Akhtar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *