Ye Kaisa Anaya Data Lyrics | Lagan | Kundan Lal Saigal | R C Boral

Ye Kaisa Anaya Data Lyrics | Lagan | Kundan Lal Saigal | R C Boral

Ye kaisa anyay data ye kaisa anyay
Mere banta kaam bigad kar bigde kaam banaye
Mere banta kaam bigad kar bigde kaam banaye
Beda par lagaye data beda par lagaye data
Ye kaisa anyay data ye kaisa anyay

Dukh jhele jis sukh ke karan wo sukh bhi chin jave
Dukh jhele jis sukh ke karan wo sukh bhi chin jave
Jaise apne diye ki jyoti duje ke ghar jaye data
Jaise apne diye ki jyoti duje ke ghar jaye data
Ye kaisa anyay data ye kaisa anyay

Mai bhi yuhi jama rahunga kaisa tufan aaye
Ghat ka pathar hil nahi sakta lakh thapede khaye
Mai bhi yuhi jama rahunga kaisa tufan aaye
Ghat ka pathar hil nahi sakta lakh thapede khaye
Kabhi to dukh ko sukh kar dega anyayi ka nyay
Kabhi to dukh ko sukh kar dega anyayi ka nyay
Andha to jab hi patiyaye jab do aankhe paye
Andha to jab hi patiyaye jab do aankhe paye data

MovieLagan
SingerKundan Lal Saigal
DirectorNitin Bose
Music ComposerR C Boral
LyricistD N Madhok
Star CastK L Sehgal, Kanan Devi, Nawab, Jagdish Sethi, Nawaz, Nimmo, G Vaid

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *