Yaas Ke Dar Pe Jhukaa Jaataa Hai Sar Aaj Ki Raat Lyrics | Shama | Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur | Ghulam Mohammad

Yaas Ke Dar Pe Jhukaa Jaataa Hai Sar Aaj Ki Raat Lyrics | Shama | Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur | Ghulam Mohammad

Yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj ki raat
Yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj ki raat
Nind kyaa maut na aayegi idhar aaj ki raat

Ishq ki god me hai husn kaa sar aaj ki raat
Chaand se kah do
Chaand se kah do ke dekhe na idhar aaj ki raat
Dekhe na idhar aaj ki raat
Chaand se kah do

Bam-o-dar jaise simatate se nazar aate hai
Bam-o-dar jaise simatate se nazar aate hai
Kabr se tang huaa jaataa hai ghar aaj ki raat

Tum jab aaye ho tab aayaa hai bahaaro kaa payaam
Tum jab aaye ho tab aayaa hai bahaaro kaa payaam
Rashq-e-jannat nazar aane lagaa ghar aaj ki raat
Chaand se kah do
Chaand se kah do

Kitai viraan hai sunsaan hai duniyaa meri
Kitai viraan hai sunsaan hai duniyaa meri
Dil ki dhadakan se bhi lagne lagaa dar aaj ki raat
Dil ki dhadakan se bhi lagne lagaa dar aaj ki raat

Dil-e-betaab machaltaa hai machal jaane de
Dil-e-betaab machaltaa hai machal jaane de
Aaj ki raat hamaari hai na dar aaj ki raat
Aaj ki raat hamaari hai na dar
Ho na dar aaj ki raat
Chaand se kah do
Chaand se kah do ke dekhe na idhar aaj ki raat
Dekhe na idhar aaj ki raat chaand se kah do

Dil-e-naakaam ye aalam teri maayusi kaa
Dil-e-naakaam ye aalam teri maayusi kaa
Pher li jaise khudaa ne bhi nazar aaj ki raat
Pher li jaise khudaa ne bhi nazar aaj ki raat
Yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj ki raat

MovieShama
SingerMohammed Rafi, Suman Kalyanpur
DirectorLekhraj Bakshi
Music ComposerGhulam Mohammad
LyricistKaifi Azmi
Star CastVijay Dutt, Suraiya, Nimmi, Tun Tun, Kammo, Mumtaz Begum, Kumud Tripathi, Leela Mishra, Tarun Bose, Kumar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *