Mirch Masala Lyrics | Eetha | Shreya Ghoshal, Madhura Datar

Mirch Masala Lyrics | Eetha | Shreya Ghoshal, Madhura Datar

Ho Dekhegi Aankhein Phaad Duniya Deewani Hoke
Baali Umar Ka Karara Thumka
Meri Jawani Ka Muqabla Karenge Kaise
Ye Baasi Gajra Purana Jhumka

Hai Dilon Ko Jeetna Toh
Mehfilon Ko Lootna Toh
Ghungrooon Se Saara Samaa Baandhne Ki Kalaa Chahiye

Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye
Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye
Sajani Maajhi Rani Tu Na
Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye

He Do Chaar Din Ki Ye Chadhti Jawani Leke
Yun Bedhadak Na Kamar Matka
Paida Hui Bhi Nahi Mujhko Sikhane Chali
Aayi Main Peeke Paani Ghat-Ghat Ka

Husn Tera Josh Mein Hai
Par Kahaan Tu Hosh Mein Hai
Ye Jawani Ka Josh Hi Sirf Kisko Bhala Chahiye

Usmein Thoda Sa Tajurbe Ka Mirch Masala Chahiye
Usmein Thoda Sa Tajurbe Ka Mirch Masala Chahiye
Sajani Maajhi Rani Tu Na
Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye

Ye Jo Khanjar Ke Jaise Zubaan Teri Dhaar Hai
Wo Saperan Ke Aage Sapoli Ki Phunkaar Hai
Kam Nahi Chhori Himmat Teri Hai Magar Phooti Kismat Teri
Chalna Seekha Nahi Phir Bhi Udne Ko Taiyaar Hai

Daur Tera Gaye Waqt Jaisa Guzar Jayega
Dhalta Sooraj Hai Jo Aasmaan Se Utar Jayega
Ye Guroor Aur Tevar Tera Saara Nakli Kalevar Tera
Kaanch Ka Hai Mehal Jo Toot Ke Chhan Se Bikhar Jayega

Ek Darja Ek Aani Ek Chanda Ek Chaani
Kaam Chaal Se Chalega Na Yahaan Poori Madhushala Chahiye

Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye
Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye
Sajani Maajhi Rani Tu Na
Usmein Thodi Si Khatai Thoda Mirch Masala Chahiye

MovieEetha
SingerShreya Ghoshal, Madhura Datar
DirectorLaxman Utekar
Music ComposerAjay-Atul
LyricistAmitabh Bhattacharya
Star CastShraddha Kapoor, Randeep Hooda, Mohammed Zeeshan Ayyub, Siddharth Jadhav
LabelUniversal Music India

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *