Usne jo kaha mujhse
Ek geet suna do na
Usne jo kaha mujhse
Ek geet suna do na
Jo dil mein dhadkta ho
Woh raaz bata do na
Jo dil mein dhadkta ho
Woh raaz bata do na
Usne jo kaha mujhse
Naghmaat ke phoolo ko
Saazo mein piron doon main
Jee chaha ke dhadkan ko
Geeton mein samaa doon main
Geeton mein samaa doon main
Haskar jo ho ho ho
Haskar jo kahan usne
Deewana bana do na
Haskar jo kahan usne
Deewana bana do na
Usne jo kaha mujhse
Saagar hai mohabbat hai
Naghma hai jawaani hai
Yeh raat hakikat hai
Duniya toh kahani hai
Duniya toh kahani hai
Main geet ho ho ho
Main geet sunati hoon
Tum saaz utha lo na
Main geet sunati hoon
Tum saaz utha lo na
Usne jo kaha mujhse
Ek geet suna do na
Jo dil mein dhadkta ho
Woh raaz bata do na
Usne jo kaha mujhse.
| Movie | Bambai Raat Ki Bahon Mein |
| Singer | Krishna Kalle |
| Director | Khwaja Ahmad Abbas |
| Music Composer | J.P. Kaushik |
| Lyricist | Hasan Kamal |
| Star Cast | Surekha, Madhavi, David Abraham, Prakash, Yunus Parvez, Madhukar, Samir Kumar, Kuljit Singh, Ravikant, Bhagwan Sinha, Qamar Amrohi |
| Label | Saregama |

