Tumhein Yaad Karte Karte Lyrics | Amrapali (1966) | Lata Mangeshkar | Shankar-Jaikishan

(Tumhein yaad karte karte jaayegi rain saari
Tum le gaye ho apne sang nind bhi hamaari) – (2)
Tumhein yaad karte karte

Mann hai ke jaa basa hain anjaan ik nagar mein
Kuch khojataa hai paagal khoyi huyi dagar mein
Ithne bade mahal mein ghabaraau main bechaari
Tum le gaye ho apne sang nind bhi hamaari
Tumhein yaad karte karte

Birhan ki is chitha se tum hi mujhe nikaalo
Jo tum na aa sako tho mujhe swapn mein bulaao
Mujhe aise mat jalaao, meri preet hai tumhaari
Tum le gaye ho apne sang nind bhi hamaari
Tumhein yaad karte karte jaayegi rain saari
Tum le gaye ho apne sang nind bhi hamaari
Tumhein yaad karte karte – (3)

MovieAmrapali (1966)
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerShankar-Jaikishan
LyricistShailendra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *