Tum Itana Jo Muskura Rahe Ho Lyrics | Khwahishein – Jagjit Singh | Jagjit Singh

Tum itana jo muskura rahe ho – (2)
Kya gum hai jisako chhupa rahe ho – (2)
Tum itana jo muskura rahe ho

Aankhon mein nami hansi labon par – (2)
Kya haal hai kya dikha rahe ho – (2)
Kya gum hai jisako chhupa rahe ho
Tum itana jo muskura rahe ho

Ban jaayenge jehar pite pite – (2)
Yeh ashq jo pite ja rahe ho – (2)

Jin jakhmon ko waqt bhar chala hai – (2)
Tum kyun unhe chhede ja rahe ho – (2)
Kya gum hai jisako chhupa rahe ho
Tum itana jo muskura rahe ho

Rekhaao ka khel hai mukkadar – (2)
Rekhaao se maat kha rahe ho – (2)
Kya gum hai jisako chhupa rahe ho
Tum itana jo muskura rahe ho
Kya gum hai jisako chhupa rahe ho

MovieKhwahishein - Jagjit Singh
SingerJagjit Singh

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *