Tu mili sab mila
Aur kya maangu main
Tu meri main tera
Ye duaa maangu main
Tere bin kyu lagun main khud ko bewajah
Tere bin raahatein mile na mujhko zara
Tere bin neend mein khawab ka na dakhila
Tere bin khatam zindagi ka silsila
Tu mili sab mila
Aur kya maangu main
Lams jo..tera yaad karoon to
Phir se talab ho teri yaara
Sochun tujhe, to itr sa
Meheke tanhaai ka galiyaara
Dhoop mein, jab jalun
Naa ghata maangun main
Bas tere pyaar ka
Aasraa maangun main
Tere bin kyu lagun main khud ko bewajah
Tere bin raahatein mile na mujhko zara
Tere bin neend mein khawab ka na dakhila
Tere bin khatam zindagi ka silsila
Tu mili sab mila
Aur kya maangu main.
| Movie | Meeruthiya Gangsters |
| Singer | Suresh Raina |
| Director | Zeishan Quadri |
| Music Composer | Siddhant Madhav |
| Lyricist | Arafat Mehmood |
| Star Cast | Jaideep Ahlawat, Aakash Dahiya, Vansh Bhardwaj, Chandrachoor Rai, Shadab Kamal, Jatin Sarna, Nushrat Bharucha, Ishita Sharma, Sanjay Mishra, Mukul Dev, Brijender Kala, Alok sharma, Sachin Shivalia |
| Label | Zee Music Company |

