Taaron Ka Chamakta Gehna Lyrics | Hum Tumhare Hain Sanam | Shah Rukh Khan, Salman Khan, Madhuri Dixit

Taaron Ka Chamakta Gehna Lyrics | Hum Tumhare Hain Sanam | Shah Rukh Khan, Salman Khan, Madhuri Dixit

Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti waadi ho
Us ghar main khushhaali aaye
Jis ghar main tumhari shadi ho

Ye phool tumhare zever hain
Ye chaand tumhara aaina
Tum jub aise sharmati ho
Doolhe ka dhrakta hai seena
Har aaina tum ko dekhe
Tum to aisi shehzadi ho
Us ghar main khushhaali aaye
Jis ghar main tumhari shadi ho

Meri behna hai phool baharon ka
Meri behna hai noor nazaron ka
Meri behna ke jesi koi behna nahi
Bina is ke kahin bhi mujhe rehna nahi
Jese hai chaand sitaron main
Meri behna hai aik hazarOn main
Hum jese bhole bhaalon ki
Ye dunya to hai dil walon ki

Ye dunya to hai dil walon ki
Ye dunya to hai dil walon ki

Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti waadi ho
Us ghar main khushhaali aaye
Jis ghar main tumhari shadi ho

Khushyon ke mehlon main betho
Koi gam na tumhare paas aaye
Na umr ka pehra ho tum pe
Mere dil ki dua ye rang laaye
Rab hansta huwa rakhe tum ko
Tum to hansne ki aadi ho
Us ghar main khushhaali aaye
Jis ghar main tumhari shadi ho

Taaron ka chamakta gehna ho
Phoolon ki mehakti waadi ho
Us ghar main khushhaali aaye
Jis ghar main tumhari shadi ho

MovieHum Tumhare Hain Sanam
SingerUdit Narayan, Bali Brahmbhatt
DirectorK. S. Adhiyaman
Music ComposerNikhil-Vinay
LyricistSameer
Star CastShah Rukh Khan, Salman Khan, Madhuri Dixit

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *