Suniye Huzur Pyar Ka Charcha Na Kijiye Lyrics | Surajmukhi | Geeta Dutt, S D Batish | Husnlal Bhagatram

Suniye Huzur Pyar Ka Charcha Na Kijiye Lyrics | Surajmukhi | Geeta Dutt, S D Batish | Husnlal Bhagatram

Suniye huzur pyar ka charcha na kijiye
Aur aap bhi to pyar se dekha na kijiye
Suniye huzur pyar ka charcha na kijiye

Dil dar raha hai pyar me afsana ban na jaye
Dil dar raha hai pyar me afsana ban na jaye
Uljhan me aa pada hai ye diwana ban na jaye
Hardum mere khyaal me aaya na kijiye
Suniye huzur pyar ka charcha na kijiye

Anjan banke mujhse na najre churaiye
Dil par na mere is tarah bijli giraiye
Aisa na kijiye aji aisa na kijiye
Suniye huzur pyar ka charcha na kijiye

Mere garib dil ka sahara tum hi to ho
Mere garib dil ka sahara tum hi to ho
Mera nasib meri tamanna tumhi to ho
Yu mujhse dur rahke sataya na kijiye
Suniye huzur pyar ka charcha na kijiye

Hai aarzu ke pyar ki dunia basaye hum
Hum aapke hai aapko apna banaye hum
Inkar karke dil mera toda na kijiye
Suniye huzur pyar ka charcha na kijiye

MovieSurajmukhi
SingerGeeta Dutt, S D Batish
DirectorO P Dutta
Music ComposerHusnlal Bhagatram
LyricistAbid Gulrez
Star CastShyam, Rehana, Gope, Mukri, Hafiz Khan, Durga Khote, Randhir Kapoor, Cuckoo, Yashodhara

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *