Sajan Ye Mat Janiyo Lyrics | Saaranga | Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi | Sardar Malik

Sajan yeh mat jaaniyo
Piya kaise milu tumse mere paanv padee janjir
Hriday me agnee sulage nainan se barase nir
Mere paanv padee janjir
Duniya se hai kya shikwa meree ruth gayee takdir
Laakh jatan kar har gaya sujhe naa koyee tadbir
Meree ruth gayee takdir, piya kaise milu …
Duniya se hai kya …

Kaise dur karu yeh duree, samajh nahee mai paatee jee – (2)
Jo mai hotee ban kee chidiya, pankh laga udd aatee
Udane lagee thee udd naa sakee, kismat ne maara tir
Piya kaise milu… duniya se hai kya…

Phul mile kam, kaante jyada, bij yeh kaisa boya jee o
Maalik tere jag me jisne pyaar kiya woh roya
Aansu ke rango me rang daalee pyaar kee yeh tasvir
Piya kaise milu… duniya se hai kya…

MovieSaaranga
SingerLata Mangeshkar, Mohammad Rafi
Music ComposerSardar Malik
LyricistBharat Vyas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *