Chet re murakh chet re
Avsar bita jaye
Jiski tohe talash hai
Wo tohe dhundh na jaye
Haye
Re murakh tu kya jane
Tune sab kuch aaj gavaya
Tune sab kuch aaj gavaya
Tujhe kismt dhundh rahi thi
Par tu pahchan na paya
Tune sab kuch aaj gavaya
Re murakh tu kya jane
Tune sab kuch aaj gavaya
Tune sab kuch aaj gavaya
Re murakh tu kya jane
Ye andho ki nagri hai
Aankho me bharam ki lali
Par sabke sab hai shikari
Ye andho ki nagri hai
Aankho me bharam ki lali
Par sabke sab hai shikari
Par sabke sab hai shikari
Kya soch ke o mere hirna
Tu is duniya me aaya
Tune sab kuch aaj gavaya
Re murakh tu kya jane
Ye bhi na koi puchhega
Aaye ho kaha se musafir
Kyu bhatak rahe ho dar dar
Ye bhi na koi puchhega
Aaye ho kaha se musafir
Kyu bhatak rahe ho dar dar
Kyu bhatak rahe ho dar dar
Maya ke is phande me kyu
Jan ke pair fasaya
Tune sab kuch aaj gavaya
Re murakh tu kya jane
Tune sab kuch aaj gavaya
Tune sab kuch aaj gavaya
| Movie | Amaanat |
| Singer | Manna Dey, Asha Bhosle |
| Director | Arvind Sen |
| Music Composer | Salil Chowdhury |
| Lyricist | Shailendra |
| Star Cast | Bharat Bhushan, Chand Usmani, Pran, Nazir Hasain, Asit Sen, Kanhaiya Lal, Achla Sachdev, Asha Mathur, Ashim Kumar |

