Pyar Ki Hasrate Khak Me Mil Gayi Lyrics | Qawwali Ki Raat | Asha Bhosle, Mohammad Rafi | Iqbal Qureshi

Pyar ki hasrate khak me mil gayi – 2
Do kadam chalke do humsafar jal gaye – 2
Zindgi aag banti hai jis mod par – 2
Dono rahi usi mod par jal gaye
Do kadam chalke do humsafar jal gaye

Aisi bijli giri sakh gulzar par
Aashiyana bchaya to par jal gaye – 2
Kuch na baki raha zindgi me meri – 2
Ek dhua rah gaya dil jigar jal gaye
Do kadam chalke do humsafar jal gaye

Aah roki to sine se shole uthe
Ban gaye ashq aankho me chingariya – 2
Do mohabbat bhare dil sulgane lage – 2
Yani do aarzuo ke ghar jal gaye
Do kadam chalke do humsafar jal gaye

(Ashqe gam chashne nam se
Ye kah kar dhale) – (2)
Pyar ki aag me yu na koi jale – 2
Aatishe ishq me koi shola nahi – 2
Phir bhi is aag me bhunke pal jal gaye
Do kadam chalke do humsafar jal gaye
Dono rahi usi mod par jal gaye

MovieQawwali Ki Raat
SingerAsha Bhosle, Mohammad Rafi
Music ComposerIqbal Qureshi
LyricistShewan Rizvi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *