Parakhna Mat Parakhne Me Koi Apna Nahi Rehta Lyrics | Aaeena (Jagjit Singh) | Jagjit Singh

Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

Kisi bhi aaine me der tak chehra nahi rahta

Bade logo so milne mein humesha fasala rakhna

Jaha dariya samandar se mila dariya nahi rahta
Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

Tumhara shehar to bilkul naye andaz wala hai

Humare shehar me bhi ab koi humsa nahi rahta
Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

Mohabbat ek khushbu hai humesha sath chalti hai
Koi insaan tanhai me bhi tanha nahi rahta
Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta
Kisi bhi aaine me der tak chehra nahi rahta
Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rahta

MovieAaeena (Jagjit Singh)
SingerJagjit Singh

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *