Pahchan to thi
Pahchana nahi
Maine apne aap ko jana nahi
Pahchan to thi
Pahchana nahi
Maine apne aap ko jana nahi
Pahchan to thi
Jab dhup barasti hain sar pe to
Paanv me chhanv khilti hain
Main bhul gayi thi chhanv agar
Milti hain to dhup me milti hain
Is dhup aur chhanv ki khel me kyu
Jeene ka ishara samjha nahi
Pahchan to thi
Pahchana nahi
Maine apne aap ko jana nahi
Main jaagi rahi kuch sapno me aur
Jaagi huyi bhi soyi rahi
Jane kin bhulbhulaiya me kuch
Bhatki rahi kuch khoyi rahi
Jeene ke liye main marti rahi
Jeene ka ishara samjha nahi
Pahchan to thi
Pahchana nahi
Maine apne aap ko jana nahi
Pahchan to thi
Pahchana nahi
Maine apne aap ko jana nahi
Pahchan to thi
| Movie | Griha Pravesh |
| Singer | Chandrani Mukherjee |
| Director | Basu Bhattacharya |
| Music Composer | Kanu Roy |
| Lyricist | Gulzar |
| Star Cast | Sanjeev Kumar, Sharmila Tagore, Sarika, Gulzar, Sudha Chopra, Danny Denzongpa, Master Bittu, Dinesh Thakur, Raj Verma, R S Chopra, Nandlal Sharma, Manik Dutt, Priya Darshini, Nitin Sethi, Ranjan, Devendra Khandelwal |

