O raama ho o ho, o raama ho ho
(Mann mein lagan jagaayi, tan mein agan lagaayi
Phir de di judaayi (tum dost ho ya dusman raam ji -2)) – (2)
Ho raama ho ho, ho raama ho
(Kab tak main sahu yeh sitam, kab tak chup rahu
Kab tak aansuo ki nadi banake main bahun) – (2)
O raama ho ho, o raama ho
Kaahe preet badhaayi de di yeh tanhaayi
Tohe laaj na aayi (tum dost ho ya dusman raan ji -2)
(Mandir mein tumhaare jhilmilaate hai diye
Ghum ke andhere mein koyi ghut ghut ke jiuye) – (2)
Ho raama ho ho, ho raama ho
Achchhi preet nibhaayi aisi ki hasjagaayi
Aankhein uth na paayi (tum dost ho ya dusman raan ji -2)
Mann mein lagan jagaayi, tan mein agan lagaayi
Phir de di judaayi (tum dost ho ya dusman raam ji -2)
Ho raama ho ho, ho raama ho – (3)
| Movie | Jab Jab Pyar Hua (1992) |
| Singer | Lata Mangeshkar |
| Music Composer | Ram-Laxman |
| Lyricist | Ravinder Rawal |