O Babul Pyare Lyrics | Johnny Mera Naam | Lata Mangeshkar | Kalyanji-Anandji

O babul pyare…….
O roye payal ke cham cham, o sisake saanso kee sargam
O nis din tujhe pukare mann ho, o babul pyare…….

Teree hee baaho me bachpan bita, khilatee gayee jindaganee
O aandhee aisee phir chalee, tutee dalee se kalee
Bin sawan ke ujada chaman ho, o babul pyare…….

Kaise suhagan bane yeh abhagan, kaun bithaye dolee
Kaise aayegee barat, kaise pile honge hath
Kaise betee banegee dulhan ho, o babul pyare………

Janak ne kaise tyag diya, apni hee janakee ko
Ho betee bhatke raaho me, mat dubee aahon me
Tarse tere daras ko nayan ho, o babul pyare………

MovieJohnny Mera Naam
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerKalyanji-Anandji
LyricistAnjaan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *