Mai kaise use pasand karu
Mai kaise aankhe band karu
Wo aurat hai tu mahbuba
Tu sab kuchh hai wo kuchh bhi nahi
Wo aurat hai tu mahbuba
Tu sab kuchh hai wo kuchh bhi nahi
Tum aise use pasand karo
Mil baitho baate chand karo
Wo aurat hai mai mahbuba
Wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
Kuchh bhi nahi
Wo aurat hai mai mahbuba
Wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
Mere liye jo pyaar-muhabbat uske liye paheli
Mere liye jo pyaar-muhabbat uske liye paheli
Champa kaise bhaaye use jiske man basi chameli
Uska dukh hai mera dukh meri sautan meri saheli
Mere bina akele tum
Wo tumhare bina akeli
Mat ye diwaar buland karo
Mil baitho baate chand karo
Wo aurat hai mai mahbuba
Wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
Kuchh bhi nahi
Wo aurat hai mai mahbuba
Wo sab kuchh hai mai kuchh bhi nahi
Uska naam na le mujhko nafrat hai uske naam se
Thak gaye ho bechain ho tum so jaao aaraam se
Ye rain milan ki raina hai
Mil kar bhi dur hi rahna hai
Tune kitna tarsaya hai
Tumne kitna tadpaya hai
Rupa kyu rup chhupati hai
Aise me sharm to aati hai
Ab ye ghunghat uth jaane do
Kuchh der yuhi sharmaane do
Mukh dhaak liya kyu haatho se
Dar lagta hai in baato se
Mai dunga apna naam tujhe
Tum kar do badnaam mujhe
Kuchh paap nahi hai pyaar hai ye
Ik shishe ki diwaar hai ye
Gir jaane do diwaaro ko
Chhupane do chaand-sitaaro ko
| Movie | Satyam Shivam Sundaram |
| Singer | Lata Mangeshkar, Nitin Mukesh |
| Director | Raj Kapoor |
| Music Composer | Laxmikant Pyarelal |
| Lyricist | Anand Bakshi |
| Star Cast | Shashi Kapoor, Padmini Kolhapure, Zeenat Aman, Raj Kapoor, Prithviraj Kapoor, Kanhaiya Lal, A K Hangal, David, Sheetal, Hari Shivdasani, Leela Chitnis, Beena, Tun Tun, Subroto Mahapatra, Javed Khan, Vishwa Mehra, Nandini, Mona, Seema, Yasmin, Komal, Parde |

