Mai ri mai
Mai ri mai
Main baadal ki bitiya
Mai ri mai
Main saawan ki nadiya
Do pal ka joban
Do pal thitholi
Boondon saji hai
Chunar meri choli
Ufan kar chali main
Saagar se milne
Le kar ke thodi si
Tirchi dagariya
Mai ri mai
Ho mai ri mai
Main baadal ki bitiya
Mai ri mai
Main saawan ki nadiya.
| Movie | Parched |
| Singer | Harshdeep Kaur, Neeti Mohan |
| Director | Leena Yadav |
| Music Composer | Hitesh Sonik |
| Lyricist | Swanand Kirkire |
| Star Cast | Tannishtha Chatterjee, Radhika Apte, Surveen Chawla, Adil Hussain, Lehar Khan, Sayani Gupta |
| Label | T-Series |

