Madine ko jaaye ye ji chaahataa hai
Muqaddar banaaye ye ji chaahataa hai
Madine ke aaqaa
Do alam ke maulaa
Tere paas aaye ye ji chaahataa hai
Madine ko jaaye ye ji chaahataa hai
Jahaan dono aalam hai mahv-e-tamannaa
Vahaan sar jhukaaye ye ji chaahataa hai
Madine ko jaaye ye ji chaahataa hai
Muhammad ki baate
Muhammad ki sirat
Sune aur sunaye ye ji chaahataa hai
Madine ko jaaye ye ji chaahataa hai
| Movie | Tareef us Khuda Ki (Jagjit Singh) |
| Singer | Chitra Singh |

