Lagan Tose Lagee Balama Lyrics | Dekh Kabeera Roya | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Lagan tose lagee balama – (2)

Dhare dil peh hath taro key sath
Saree rain jagee balama, (lagan tose lagee balama -2)

Chamak chamak kar dube tare, (ek ek karke sare -2)
Ghatate ghatate ghat gayee batee, phike pade ujiyare
Chalte chalte thak gaya chanda, thake naa pyar key mare
Lagan tose lagee balama – (2)

Nind kee maree duniya saree, (sapno me thee khoyee -2)
Rukee rukee thee mast hawa yeh, laher laher thee soyee
Me nindiya se dur rahee kyun, yeh naa jane koyee
Lagan tose lagee balama – (2)

Chand ne kitna mujh se puchha, (bat koyee toh hogee -2)
Kis key karan jog liya hai, koun hai teraa jogee
Me bas munh se itna bolee, prit kee hu men rogee
Lagan tose lagee balama – (2)

Dhare dil peh hath taro key sath
Saree rain jagee balama, (lagan tose lagee balama -2)

MovieDekh Kabeera Roya
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerMadan Mohan
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *