Kaun aaya mere man ke dwaare,
Paayal ki jhankaar liye – 2
Kaun aaya …
Aankh na jaane,
Dil pehchaane suratiya kuchh aisi – 2
Yaad karu to, yaad na aaye muratiya ye kaisi
Paagal manwa,
Soch mein dooba sapno ka sansaar liye
Kaun aaya …
Ik pal sochu, meri aasha roop badal kar aayi – 2
Dooje pal phir,
Dhyaan ye aaye ho na kahi parchhaai
Jo pardesi ke, ghar aayi ek anokha pyaar liye
Kaun aaya …
| Movie | Dekh Kabeera Roya |
| Singer | Manna Dey |