Khuda huzur ko meri bhi zindagi de de
Khuda huzur ko meri bhi zindagi de de
Bagair aapke behtar hai mera mar jana
Na ho ye shama to mahfil ka rang kya hoga
Na ho ye shama to mahfil ka rang kya hoga
Jiyega kaise andhere me koi parwana
Khuda huzur ko meri bhi zindagi dede
Khuda huzur ko
Rahe huzur ki hum par nigahe karam
To hum khuda ko na dhudhe kabhi
Khuda ki kasam
Rahe huzur ki hum par nigahe karam
To hum khuda ko na dhudhe kabhi
Khuda ki kasam
Hamare waste jannat hai aapki bahe
Hamare waste jannat hai aapki bahe
Hila sakegi na dunia kabhi wafa ke kadam
Khuda huzur ko meri bhi zindagi de de
Bagair aapke behtar hai mera mar jana
Khuda huzur ko
| Movie | Sawan Ki Ghata |
| Singer | Asha Bhosle, Usha Mangeshkar |
| Director | Shakti Samanta |
| Music Composer | Omkar Prasad Nayyar |
| Lyricist | Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari) |
| Star Cast | Manoj Kumar, Sharmila Tagore, Mumtaz, Pran, Mridula, Jeevan, Sajjan, Madan Puri, Mohan Choti, S N Bannerjee, Helen, Padma Khanna, Sunder, Kundan |
| Label | Saregama |

