Kaun Aaya Yeh Mehfil Mein Lyrics | Bombay Ka Chor (1962) | Kishore Kumar | Ravi

(Kaun aaya yeh mehfil mein, lehraata balkhaata
Aag lagaata har dil mein) – (2)
Kaun aaya yeh mehfil mein

Chhupi hai nigaaho mein bahaaron ki kahaani – (2)
Chhalake adaao se sitaaron ki jawaani
Kho na jaaye dil iss jhilmil mein
Kaun aaya yeh mehfil mein, lehraata balkhaata
Aag lagaata har dil mein, kaun aaya yeh mehfil mein

Jalwe hi jalwe najaare hi najaare – (2)
Masti hi masti ishaare hi ishaare
Dekhe kaise akhiya hai mushkil mein
Kaun aaya yeh mehfil mein, lehraata balkhaata
Aag lagaata har dil mein, kaun aaya yeh mehfil mein

MovieBombay Ka Chor (1962)
SingerKishore Kumar
Music ComposerRavi
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *