Kare Badar Baras Baras, Aaj Koi Gaaye Re Malhaar Lyrics | Gopinath | Neenu Majumdar | Neenu Majumdar

Kare Badar Baras Baras, Aaj Koi Gaaye Re Malhaar Lyrics | Gopinath | Neenu Majumdar | Neenu Majumdar

Aaa
Kaare baadar baras-baras thak jaaye baar-baar
Re birahan ke dwaare
Aaj ko_i gaaye re malhaar -2
Re birahan ke dwaare
Aaj ko_i gaaye re malhaar

Nadiyaa chali milan saagar se -2
Ithalaati balakhaati
Jhum jhum laharo ke saazo pe madamaati gaati
Magar kisi ki aaj jawaani -2
Jalati dhunvaadhaar
Re birahan ke dwaare
Aaj ko_i gaaye re malhaar -2

Aasamaan me bairi chadaa taaro sag muskaaye
Meraa man aangan hai sunaa saajan ke bin haay
Aanho ke khaare paani me -2
Bahe kisi kaa pyaar
Re birahan ke dwaare
Aaj ko_i gaaye re malhaar -2

MovieGopinath
SingerNeenu Majumdar
DirectorMahesh Kaul
Music ComposerNeenu Majumdar
Star CastRaj Kapoor, Tripti Mitra, Nand Kishore, Tiwari, Anwaribai, Baby Zubaida, Sachin Ghosh, Mahesh Kaul, Randhir Kapoor

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *