Kaise Koi Jiye Lyrics  | Baadbaan | Dev Anand, Meena Kumari | Hemanta Kumar Mukhopadhyay | S.K. Pal, Timir Baran

Kaise Koi Jiye Lyrics | Baadbaan | Dev Anand, Meena Kumari | Hemanta Kumar Mukhopadhyay | S.K. Pal, Timir Baran

Aaya tufan, aaya tufan
Bekadar, bewafa hai aasman
Kaise koi jiye, kaise koi jiye
Zahar hai zindagi
Utha tufan wo, utha tufan
Aas ke sab bujh gaye diye
Kaise koi jiye

Badal hai ya dhuwa aag lagi kaha
Jalta na ho kahi mera hi aashiya
Angare the aansu nahi wo, dil ne jo piye
Kaise koi jiye, zahar hai zindagi
Utha tufan wo, utha tufan
Aas ke sab bujh gaye diye
Kaise koi jiye

Tare na jane unchayi gagan ki
Aankhe na samajhe, gehrayi man ki
Gehrayi man ki
Tare na jane
Pyase papihe ne aas thi bandhi
Pyase papihe ne aas thi bandhi
Udd gaye badal aa gayi aandhi
Gam ne jo cheda, dil ne hasi se
Hoth si liye
Kaise koi jiye, zahar hai zindagi
Utha tufan wo, utha tufan.

MovieBaadbaan
SingerHemanta Kumar Mukhopadhyay
DirectorPhani Majumdar
Music ComposerS.K. Pal, Timir Baran
LyricistIndeevar (Shyamalal Babu Rai)
Star CastDev Anand, Meena Kumari, Ashok Kumar, Usha Kiran
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *