Kaatir Se Yaa Lihaaz Se Main Maan To Gayaa Lyrics | Yaadgar Ghazlen (Ghulam Ali) | Ghulam Ali

Kaatir Se Yaa Lihaaz Se Main Maan To Gayaa Lyrics | Yaadgar Ghazlen (Ghulam Ali) | Ghulam Ali

Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya
Jhuthi kasam se apka iman to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya
Jhuthi kasam se apka iman to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya

Dil leke muft kahte hai kuch kaam ka nahi
Dil leke muft kahte hai kuch kaam ka nahi
Ulti shikayate rahi ehsaan to gaya
Ulti shikayate rahi ehsaan to gaya
Jhuthi kasam se apka iman to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya

Dekha hai butakade me jo
Aye shekh kuch na puch
Dekha hai butakade me jo
Aye shekh kuch na puch
Iman ki to ye hai ki iman to gaya
Iman ki to ye hai ki iman to gaya
Jhuthi kasam se apka iman to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya

Jo namabar se khush na hua par hazar shukr
Jo namabar se khush na hua par hazar shukr
Mujhko wo mere naam se pahchan to gaya
Mujhko wo mere naam se pahchan to gaya
Jhuthi kasam se apka iman to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya

Hosh-o-hawas-o-tab-o-tawan daag ja chuke
Hosh-o-hawas-o-tab-o-tawan daag ja chuke
Ab ham bhi jane wale hai saman to gaya
Ab ham bhi jane wale hai saman to gaya
Jhuthi kasam se apka iman to gaya
Khatir se ya lihaz se mai maan to gaya

MovieYaadgar Ghazlen (Ghulam Ali)
SingerGhulam Ali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *