Jis Dil Me Basa Tha Pyar Tera, Us Dil Ko Kabhi Ka Tod Diya (female) Lyrics | Saheli | Lata Mangeshkar | Kalyanji Anandji

Jis Dil Me Basa Tha Pyar Tera, Us Dil Ko Kabhi Ka Tod Diya (female) Lyrics | Saheli | Lata Mangeshkar | Kalyanji Anandji

Jis dil me basa tha pyar tera
Us dil ko kabhi ka tod diya haye tod diya
Badnam na hone denge tujhe
Tera nam hi lena chhod diya haye chhod diya
Jis dil me basa tha pyar tera

Tu auro ka koi aur tera
Dunia me hum kyu zinda hai
Tu auro ka koi aur tera
Dunia me hum kyu zinda hai
Hum ban kar kyun diwar rahe
Ye soch ke hum sharminda hai
Ye soch ke hum sharminda hai
Dar koi aur khule na khule
Teri raaho ko humne chhod diya haye chhod diya
Jis dil me basa tha pyar tera

Hum pyar me the nadan bahut
Kuch karna tha kuch kar baithe
Hum pyar me the nadan bahut
Kuch karna tha kuch kar baithe
Wo phool tha aur ke jude ka
Hum jis se daman bhar baithe
Hum jis se daman bhar baithe
Hum ne khud apni baharo ka
Virano se rishta jod diya haye jod diya
Jis dil me basa tha pyar tera

MovieSaheli
SingerLata Mangeshkar
DirectorArjun Hingorani
Music ComposerKalyanji Anandji
LyricistIndeevar
Star CastPradeep Kumar, Kalpana, Rajendra Nath, Vijaya Chaudhary, Jankidas, Johny Whiskey

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *