Jindagi Waqt Ka Aaina Hai Lyrics | Akarshan | Kavita Krishnamurthy | Ajit Singh

Jindagi Waqt Ka Aaina Hai Lyrics | Akarshan | Kavita Krishnamurthy | Ajit Singh

Jindagi waqt ka aaina hai
Jisme apna hi chehra anjaana sa lagta hai
Jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
Begaana sa lagta hai jindagi waqt ka aaina hai

Jhutha hai duniya ka mela jhuti duniyadaari
Phir kyun deti palko ko khaabon ki jimmedaari
Dur talak faila koyi viraana sa lagta hai
Jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
Begaana sa lagta hai jindagi waqt ka aaina hai

Thehri thehri kadmon se manjil ki kya ummede
Behtar hai chup rahe ke apne hontho ko hi si de
Jisko dekho aaj wahi deewaana sa lagta hai
Jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
Begaana sa lagata hai jindagi waqt ka aaina hai

Kise pata kab kisi mod pe rahe na apna mann
Jise na jaana usi ki tarah ho jaaye aakrshan
Jara gaur se dekho to afsaana sa lagta hai
Jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
Jindagi waqt ka aaina hai
Jisme apna hi chehra anjaana sa lagta hai
Jisko samjho apna wo begaana sa lagta hai
Begaana sa lagata hai jindagi waqt ka aaina hail

MovieAkarshan
SingerKavita Krishnamurthy
DirectorTanvir Ahmed
Music ComposerAjit Singh
LyricistRajesh Johri
Star CastSonu Walia, Rohini Hattangadi, Parveen Babi, Smita Patil, Raj Babbar, Girish Karnad, Akbar Khan, Deepak Qazir, Sharon Prabhakar, Suparna A

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *