Jane kaisa hai mera deewana, kabhi apna sa lage, kabhi begana
Badi bholi ho, ye bhi na jana, kabhi apno ko nahi kehte begana
Yu bhi jeeta tha magar koyi arman na the
Jab talak aap mere (dil ke mehman na the – 2)
Tumse meheka hai mera virana, kabhi apno ko nahi kehte begana
Main woh aazad ghata tumne jisse bandh liya
Apni aankho mein mujhe (naya aakash diya – 2)
Yahi chhota sa mera afsana, kabhi apna sa lage, kabhi begana
Kabhi chhede hai pawan kabhi chhede hain piya
Yahi to hoga sanam (tumne jab pyar kiya – 2)
Mere pas aao chhodo sharmana, kabhi apno ko nahi kehte begana
| Movie | Aansoo Ban Gaye Phool |
| Singer | Asha Bhosle, Kishore Kumar |
| Music Composer | Laxmikant-Pyarelal |
| Lyricist | Govind Munees |
| Star Cast | Ashok Kumar, Nirupa Roy |

