Ja Re O Pavan Lyrics  | Sampoorna Ramayana | Mahipal, Anita Guha | Lata Mangeshkar | Vasant Desai

Ja Re O Pavan Lyrics | Sampoorna Ramayana | Mahipal, Anita Guha | Lata Mangeshkar | Vasant Desai

San sanan sanan sanan ja re o pavan
Dur desh leja sandesh jaha mere sajan
Ja re o pavan

Chhu ke charan kehna pavan
Birha agan ab ho na sahan
Chhu ke charan kehna pavan
Birha agan ab ho na sahan
Tan hai yaha aur paran waha
Meri puja yaha aur bhagwan waha
Ye duri sahe kaise man ki mayuri
Ye duri sahe kaise man ki mayuri
Barste hai naino ke dhan o ho
San sanan sanan sanan ja re o pavan

Din na kate dukh na ghate
Tumse laga nahi dhyan hate
Tufano me hai jalta diya
Tufano me hai jalta diya
Ab tum bin jina kathin hai piya

Ya tum chale aao ya mujhko bulao
Ya tum chale aao ya mujhko bulao
Karo koi aisa jatan,
San sanan sanan sanan ja re o pavan
Dur desh leja sandesh jaha mere sajan
Ja re o pavan.

MovieSampoorna Ramayana
SingerLata Mangeshkar
DirectorBabubhai Mistri
Music ComposerVasant Desai
LyricistBharat Vyas
Star CastMahipal, Anita Guha, Vasant Pahelwan, B M Vyas, Ram Singh, Raaj Kumar, Kanta Vyas
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *