Is Tarah Mohabbat Ki Shuruaat Kijiye Lyrics | Taaruf (Album) | Chandan Dass

Is Tarah Mohabbat Ki Shuruaat Kijiye Lyrics | Taaruf (Album) | Chandan Dass

Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye
Ik baar akele mein mulakaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye
Ik baar akele mein mulakaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye

Sukhi padi hain dil ki zamee muddato se yaar
Sukhi padi hain dil ki zamee muddato se yaar
Banke ghataye pyaar ki barsaat kijiye
Banke ghataye pyaar ki barsaat kijiye
Ik baar akele mein mulakaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye

Hilne na paaye honth aur keh jaaye bahut kuch
Hilne na paaye honth aur keh jaaye bahut kuch
Aankhon mein aankhein daal ke har baat kijiye
Aankhon mein aankhein daal ke har baat kijiye
Ik baar akele mein mulakaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye

Din mein hi mile roj hum
Dekhe na koi aur
Din mein hi mile roj hum
Dekhe na koi aur
Suraj pe zulfein daal ke phir raat kijiye
Suraj pe zulfein daal ke phir raat kijiye
Ik baar akele mein mulakaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye
Is tarah mohabbat ki shuruaat kijiye

MovieTaaruf (Album)
SingerChandan Dass

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *