Is Desh Ke Rahne Walo Lyrics | Purnima (1965) | Lata Mangeshkar | Kalyanji-Anandji

(O is desh ke rahnewalo
Nari ko devi kahnewalo
Maa ke saputo bahno ke bhai
Jara sunte jana ye meri kahani) – (2)
Jara sunte jana ye meri kahani

Bichhaye jo kismat ne kate
Unhe bhi galese lagaya
Magar haye re badnasibi
Tere man ko ye bhi na bhaya
Chali aisi andhi utha aisa tufa
Bikhari bani aaj mahlo ki rani
Jara sunte jana ye meri kahani

Bhatakti firu aaj dar dar
Hai roti bina pet khali
Uchale jamane ne sikke
Na roti kisi ne uchali
Har ek dil hai pyala
Har ek aankh bukhi
Hawas ne sabhi ka kiya khun pani
Jara sunte jana ye meri kahani

Ye dharti ka nanha sa munna
Hai rahbar tumhare watan ka
Ye mangega jab bhi kuch unse
To jhuk jayega sar gagan ka
Magar tumpe fir bhi asar kuch na hoga
Tumhare liye khel hai jindgani
Jara sunte jana ye meri kahani
O is desh ke rahnewalo
Nari ko devi kahnewalo
Maa ke saputo bahno ke bhai
Jara sunte jana ye meri kahani – 2

MoviePurnima (1965)
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerKalyanji-Anandji
LyricistBharat Vyas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *