(Ham pyar karnewale, duniya se na daranewale – (2)
Duniya se na daranewale
Yar jalnewalo ko jalayenge, pyar me jiyenge mar jayenge – (2)) – (2)
Rok sake jo dilwalo ko aisee koyee jail nahee – (2)
Dil ka lagana iss duniya me logo koyee khel nahee – (2)
Bandha hain kisne pagal hawa ko, roka hain kisne udatee ghata ko
Todke pinjara udd jayenge hath nahee ham aayenge
Yar jalnewalo ko jalayenge, pyar me jiyenge mar jayenge – (2)
Laila nahee ham majnu nahee, ham julmo sitam jo hasake sahe – (2)
Roke kisike ham toh ruke na apna milan toh hoke rahe – (2)
Pyar kiya hai pyar karenge, ham toh jamane se na darenge
Apnee mohabbat kee takad se duniya ko jhukayenge
Yar jalnewalo ko jalayenge, pyar me jiyenge mar jayenge – (2)
Ham pyar karnewale duniya se na daranewale
Duniya se na daranewale
Yar jalnewalo ko jalayenge, pyar me jiyenge mar jayenge – (2)
| Movie | Dil |
| Singer | Anuradha Paudwal, Udit Narayan |
| Music Composer | Anand-Milind |
| Lyricist | Sameer |