Ham Aah Bhi Bharate Hain, Matalab Ki Ye Duniyaa Hai Lyrics | Nausherwan-E-Adil | Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra

Ham Aah Bhi Bharate Hain, Matalab Ki Ye Duniyaa Hai Lyrics | Nausherwan-E-Adil | Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra

Hum aah bhi bharte hai to ho jate hai badnam
Ha wo katl bhi karte hai to charcha nahi hota

Matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai
Matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai
Dhokha de dete hai wahi jin par ke bharosa hota hai

Khun-e-jigar se baag ko sicha phul khile to aag lagi
Khun-e-jigar se baag ko sicha phul khile to aag lagi
Jal hi gayi jab sari duniya rone se ab kya hota hai
Matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai

Baag me sair ko aaye the ek daag jigar me leke chale
Baag me sair ko aaye the ek daag jigar me leke chale
Ranginiyo me bhul gaye har phul me kaanta hota hai
Matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai

Behoshiyo me dil kho baithe jab
Hosh aaya to ye samjhe
Aa aa aa
Behoshiyo me dil kho baithe
Jab hosh aaya to ye samjhe
Sab jisko mohabbat kahte hai
Sab jisko mohabbat kahte hai
Darasal wo dhokha hota hai
Matlab ki ye duniya hai yaha kaun kisi ka hota hai
Dhokha de dete hai eahi jin par ke bharosa hota hai

MovieNausherwan-E-Adil
SingerLata Mangeshkar
DirectorSohrab Modi
Music ComposerChitalkar Ramchandra
LyricistParvez Shamsi
Star CastRaaj Kumar, Mala Sinha, Sohrab Modi, Naseem Banoo, Bipin Gupta, Murad, Shammi, Agha, Niranajan Sharma, Amir Bano

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *