Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Yeh paani bahte bahte kah raha hai
Kabhi woh din bhi aayega
Yeh paani rang laayega
Yeh paani rang laayega
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Yeh bunde dekh lena ek din tufaan laayengi
Jamin toh hai
Jamin yeh aasman ko bhi hilaayengi
Garibon ke gharo tak chal ke khud bhagwaan aayega
Yeh paani rang laayega
Yeh paani rang laayega
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Sitam kaa hadh se badh jana tabahi ki nishaani hai
Badalte hain sabhi ke din purani yeh kahaani hai
Jamana ek din girte huo ko uthaayega
Yeh paani rang laayega
Yeh paani rang laayega
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Agar jal kar kisi majbur ne fariyaad kar daali
Toh kudarat ke khjane dekhna ho jayenge khaali
Jamin phat jayegi
Jamin phat jayegi suraj kaa gola tut jaayega
Yeh paani rang laayega
Yeh paani rang laayega
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Yeh paani bahte bahte kah raha hai
Kabhi woh din bhi aayega
Yeh paani rang laayega
Yeh paani rang laayega
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
Garibon kaa pasina bah raha hai
| Movie | Naya Aadmi |
| Singer | Mohammed Rafi |
| Director | C P Dixit |
| Music Composer | Madan Mohan |
| Lyricist | Rajinder Krishan |
| Star Cast | N T Rama Rao, Anjali Devi, Anwar, Gope, Jamuna, Helen |

