Ek Bholi-Bhaali Gaanv Ki Raani Lyrics | Gaon Ki Rani (Album) | Hemant Kumar

Ek Bholi-Bhaali Gaanv Ki Raani Lyrics | Gaon Ki Rani (Album) | Hemant Kumar

Ek bholi bhaali gaanv ki rani
Jiski kahani
Aao sunaye
Suno
Ek bholi bhaali gaanv ki rani
Jiski kahani
Aao sunaye
Suno

Pake dhaan ka khet khada
Bal kha kha ke lahraye
Odh chunariya hariyaali ki
Dharti hai muskaaye
Waha bani ek sundar kutiya
Mahalo ko sharmaye
Usme rahti ek matawali
Sundar rani
Uski kahani
Aayo sunaye
Suno

Kutiya hi sabkuch hai uski
Kutiya ki sabkuch hai wo
Aate jaate raahi paate
Aage badhne ki himmat ko
Gaanv ki rani
Piya ke path mein
Baith bichhaye aankhon ko
Saanjh deep ne mila diye
Aur dekh raha is madhur milan ko
Aisi gaanv ki rani
Jiski kahani
Aao sunaye
Suno

Nind pari ke jaadu ne jab
Luta diye sapne anmol
Lagi lutne saari duniya
Apni man masti mein dol
Nind pari ke jaadu ne jab
Luta diye sapne anmol
Lagi lutne saari duniya
Apni man masti mein dol
Par haye vidhaata rup badal kar
Gaanv ke aangan aayi
Bhole bhaale mukhde dekhe
Apne aap se wo sharmayi
Par haye vidhaata rup badal kar
Gaanv ke aangan aayi
Bhole bhaale mukhde dekhe
Apne aap se wo sharmayi
Jo kuch karna tha
Karna
Aur chilla uthi jaag re duniya
Kaal pad gaya kaal
Kaal pad gaya kaal
Kaal pad gaya kaal

Ek bholi bhaali gaanv ki rani
Jiski kahani
Aao sunaye
Suno
Ek bholi bhaali gaanv ki rani
Jiski kahani
Aao sunaye
Suno
Par haye vidhaata rup badal kar
Gaanv ke aangan aayi
Bhole bhaale mukhde dekhe
Apne aap se wo sharmayi
Jo kuch karna tha
Karna
Aur chilla uthi jaag re duniya
Kaal pad gaya kaal
Kaal pad gaya kaal
Kaal pad gaya kaal

Daakan
Jogan aayi pishachan
Chhayi ghataye kaali kaali re
Maut ke saaz pe pralay raagini
Baaj rahi matawali re
Mila khak mein gaanv salona
Gham ne manayi diwaali re
Shanti gayi ,sukh chain gaya
Sone se bhare
Wo khet gaya
Daakan
Jogan aayi pishachan
Chhayi ghataye kaali kaali re

Kahan gayi
Wo saanjh suhaani
Kahan panchhiyo ka gaana
Kahan gaya
Wo madhur milan
Aur kahan khushi se bhara zamana

Kyun uge ho ab tum chaand salone
Kya lene ab aaye sitaare
Chale gaye wo chhod ke duniya
Jinko the tum bade hi pyaare

Har gaanv ki tuti diware
Kahti hain aaj kahani
Meri god mein bani samadhi
Kitni kutiya
Kitni rani

MovieGaon Ki Rani (Album)
SingerHemant Kumar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *