Ek Baras Se Pinjra Hai Khaali Lyrics | Karva Chauth | Usha Mangeshkar | C Arjun

Ek Baras Se Pinjra Hai Khaali Lyrics | Karva Chauth | Usha Mangeshkar | C Arjun

Ghadi aa gayi imtihan ki
Antim pal hai ginti ke
Jahan bhi ho tum
Maa sunle na
Shabd ye meri vinti ke

Ek baras se pinjra hai khali
Mera panchhi na bola
Mujhko piya se mila do maa
Ae maa

Aaya mahal ka ud gaya hansa
Phir use wapas la do na
Mujhko piya se mila do maa
Ae maa

Lut gayi main to
Mera nasiba
Fut gaya haye fut gaya
Bich safar me mera saathi
Chhut gaya haye chhut gaya
Subah ke bhule huye pathik ko
Saanjh padi ghar la do na
Mujhko piya se mila do maa
Ae maa

Hey jagdambe
Meri bhanwar me
Nauka hai meri nauka hai
Dub rahi main mujhko bacha lo
Mauka hai yahi mauka hai
Bhaag me mere aag lagi hai
Aakar use bujha do maa
Mujhko piya se mila do maa
Ae maa

Ek baras se pinjra hai khali
Pinjra khali
Kahan ho aao trishul wali
Kahan ho aao trishul wali
Hey maa
Hey maa
Hey maa

MovieKarva Chauth
SingerUsha Mangeshkar
Music ComposerC Arjun
LyricistKavi Pradeep

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *