Ek Baat Kahoon Ai Dariya Main Sachchaayi Se Lyrics | Param Vir Chakra (1995) | Kumar Sanu | Ravindra Jain

Hmm hmm hmm hmm… hey hey hey hey ho ho ho ho o o o…

Ek baat kahoon ai dariya main sachchaayi se – (2)
Tu haar gaya unn aankhon ki gehraayi se
Ek baat kahoon ai dariya main sachchaayi se

Dhruv taare tu sabko raah dikhaaye
Raah dikhaakar manjil tak le jaaye
Main apana humdard tujhe tab maanu
Jab mujhe meri manjil tak pohanchaaye
Ek baat kahoon ai chanda sachchaayi se – (2)
Tu haar gaya uss chehare ki raanaayi se

Woh mera armaan woh mera sapana
Usaka har andaaj hai usaka apana
Usake pehalu mein apana dil rakh ke
Le liya maine dil ke mol tadpana
Ik baat kahun ai dilbar main sachchaayi se – (2)
Main haar gaya iss dard bhari tanhaayi se
Ek baat kahoon ai dariya main sachchaayi se
Tu haar gaya unn aankhon ki gehraayi se

MovieParam Vir Chakra (1995)
SingerKumar Sanu
Music ComposerRavindra Jain
LyricistRavindra Jain

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *