Do Bunde Saavan Ki Haay Do Bunde Saavan Ki Lyrics | Phir Subah Hogi | Asha Bhosle | Khayyam

Do Bunde Saavan Ki Haay Do Bunde Saavan Ki Lyrics | Phir Subah Hogi | Asha Bhosle | Khayyam

Do bunde saavan ki haay do bunde saavan ki
Ek saagar ki sip me tapke aur moti ban jaaye
Duji gande jal me girkar apna aap gavaaye
Kisko mujrim samajhe koi kisko dosh lagaaye
Ho kisko dosh lagaaye
Do bunde saavan ki haay do bunde saavan ki

Do kaliya gulshan ki haay do kaliya gulshan ki
Ek sehare ke bich gundhe aur man hi man itaraaye
Ek arthi ke bhet chadhe aur dhuli me mil jaaye
Kisko mujrim samajhe koi kisko dosh lagaaye
Ho kisko dosh lagaaye
Do kaliya gulshan ki haay do kaliya gulshan ki

Do sakhiya bachpan ki haay do sakhiya bachpan ki
Ek sihaasan par baithe aur rupamati kahalaaye
Duji apne rup ke kaaran galiyo me bik jaaye
Kisko mujrim samajhe koi kisko dosh lagaaye
Ho kisko dosh lagaaye
Do sakhiya bachpan ki haay do sakhiya bachpan ki

MoviePhir Subah Hogi
SingerAsha Bhosle
DirectorRamesh Saigal
Music ComposerKhayyam
LyricistSahir Ludhianvi
Star CastRaj Kapoor, Mala Sinha, Rehman, Leela Chitnis, Nana Palsikar, Tun Tun, Mubarak, Jagdish Sethi, Kamal Kapoor

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *