Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa Lyrics | Ek Mahal Ho Sapno Ka | Lata Mangeshkar | Ravi

Dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
Duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

Saanso ki aanch paa ke bhadakta rahega ye

Sine mein dil ke saath dhadakta rahega ye
Dhadakta rahega ye
Wo naksh kyaa huaa jo mitaye se mit gayaa
Wo dard kyaa huaa jo dabaaye se dab gayaa
Dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
Duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

Ye jindagi bhi kyaa hain amaanat unhi ki hain

Ye shaayari bhi kyaa hain inaayat unhi ki hain
Inaayat unhi ki hain
Ab wo karam kare ke sitam unka faislaa
Hum ne to dil mein pyaar kaa shola jagaa liyaa
Dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
Duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

MovieEk Mahal Ho Sapno Ka
SingerLata Mangeshkar
DirectorDevendra Goel
Music ComposerRavi
LyricistSahir Ludhianvi
Star CastDharmendra, Sharmila Tagore, Ashok Kumar, Leena Chandavarkar, Deven Verma, David, Brahmachari, Ramesh Deo, Achla Sachdev

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *