Dil Kya Chaahe Main Kya Chaahu Lyrics | Sanjog (1985) | Asha Bhosle, Kishore Kumar | Laxmikant-Pyarelal

(Dil kya chaahe main kya chaahu
Sab jaan ke bhi anjaan ho kyun) – (2)
Chhodo bhi jaane do jaane do na mujhe nind aati hai
Meri jaan jaati hai
(Yeh sab hai kya, yeh sab hai kyun
Sab jaan ke bhi anjaan ho kyun) – (2)
Paas aao aao na jaao na yuun meri jaan jaati hai
Mujhe nind aati hai
Dil kya chaahe main kya chaahu
Sab jaan ke bhi anjaan ho kyun

Raat abhi aadhi hai baat abhi aadhi hai
Nayi nayi shaadi hai
Dil aise tarsaao na nind aati nahi
Chain aata nahi, jaao
Dard asia utha saha jaata nahi
Gore gulaabi badan se tere koyi aanch aati hai
Mmm mujhe nind aati hai
Dil kya chaahe main kya chaahu
Sab jaan ke bhi anjaan ho kyun

(Dekhe akeli toh baahon mein le le
Tujhe toh subah shaam sujhe na
Raaton ko aaye jagaaye sataaye
Koyi dusara kaam sujhe na) – (2)
Aati hai jaati hai raatein kahaan aisi raat aati hai
Mmm mujhe nind aati hai
Dil kya chaahe main kya chaahu
Sab jaan ke bhi anjaan ho kyun
Chhodo bhi jaane do jaane do na mujhe nind aati hai
Meri jaan jaati hai
Mmm mujhe nind aati hai mmm mmm hmm hmm mm mm….

MovieSanjog (1985)
SingerAsha Bhosle, Kishore Kumar
Music ComposerLaxmikant-Pyarelal
LyricistAnjaan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *