Dil kee aawaj hu, saanso me basalo mujhko – (2)
Mai kavita hu tarnnum me sajalo mujhko
Dil kee aawaj…….
Hu woh khushbu jo hawayon me bikhar jatee hai – (2)
Raj ban jayungee sine me chhupalo mujhko
Mai kavita hu, tarnnum me sajalo mujhko
Dil kee aawaj…….
Dil kee dhadkan mujhe har bar yahee kehatee hai – (2)
Mai amanat hu ? sanbhalo mujhko
Mai kavita hu tarnnum me sajalo mujhko
Dil kee aawaj…….
Usakee dil lene kaa andaj nirala thehara – (2)
Keh raha tha ke anghotee me sajalo mujhko
Mai kavita hu, tarnnum me sajalo mujhko
Dil kee aawaj…….
Unakee khwayish hai kee mahtab rahe badal me – (2)
Julf kehatee kee chehare se hatalo mujhko
Mai kavita hu, tarnnum me sajalo mujhko
Dil kee aawaj…….
Aajamalena meree ma kee duwao kaa asar – (2)
Khadee ko shauk se jab chahe bulalo mujhko
Mai kavita hu, tarnnum me sajalo mujhko
Dil kee aawaj…….
| Movie | Dil Ki Awaaz - Kavita Krishnamurthy |
| Singer | Kavita Krishnamurthy |