Dil Ka Guldasta Baho Ka Haar Lyrics | Vachan (1974) | Kishore Kumar, Sharda Rajan Iyengar | Shankar-Jaikishan

(Dil ka guldasta baaho ka haar
Saath me isake bahut sa pyar
Lekar aaya sarkar kar lijiye swikar
Kar lijiye swikar) – (2)

Mana ab tak hum the kuch majbur
Reh ke paas bhi hum the kitni door
Lekin hum tum aakhir mil hi gaye
Sapne aakhir phulo se khil hi gaye
Phulo se khil hi gaye – 2

Dil ka guldasta baaho ka haar
Saath me isake bahut sa pyar
Lekar aaya sarkar kar lijiye swikar

(Ha ha hamane kiya swikar
Mere yaar mere yaar) – (2)

Thande mausam me aag ye kaisi lagi hay
Kaise mod pe aa gayi zindgi achha ji
Bin piye aaj ye kya hamako ho gaya ho ho
Pyar ka har taraf chhane laga hai nasha maar dala
Chhane laga hai nasha – 2
Dil ka guldasta baaho ka haar
Saath me isake bahut sa pyar
Lekar aaya sarkar kar lijiye swikar
Ha ha kar to liya swikar
Mere yaar mere yaar
Kar to liya swikar
Mere yaar mere yaar

Khoye ham rahe in gori gori banho me
Reshami julf ki pyari pyari chhav me
Gam bhi koyi aane na payega jaha
Pyar ki bastiya ham basayenge vaha
Ham basayenge vaha – 2
Are dil ka guldasta baaho ka haar
Saath me isake bahut sa pyar
Lekar aaya sarkar kar lijiye swikar

Ho ho hoto gaya swikar
Mere yaar mere yaar
Hoto gaya swikar
Mere yaar mere yaar – 2

MovieVachan (1974)
SingerKishore Kumar, Sharda Rajan Iyengar
Music ComposerShankar-Jaikishan
LyricistShaily Shailender

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *