Deewana Yeh Parwana Lyrics | Albela | Lata Mangeshkar, Chitalkar Ramchandra | Chitalkar Ramchandra

Deewana Yeh Parwana Lyrics | Albela | Lata Mangeshkar, Chitalkar Ramchandra | Chitalkar Ramchandra

Deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
Deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
Jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aaye
Jaan jalaye sukh paaye jalne mein mazaa aaye
Jalne ke dhang nirale samjhe kya duniya wale
Ishq tera afasana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
Deewana parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

Parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye
Parwane ke pankh jalake shamma bhi pachhtaye
Yaad mein parwane ki subah tak jaan jalaye
Ho khel nahi dil ka lagana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
Ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

Jalne jalane mein kahani hain pyar ki
Mitne mitaane mein jawani hain pyar ki
Pyar mein marna ho jeene ka bahana
Shamma pe aaya leke dil ka nazarana
Ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana
Ye deewana ye parwana shamma pe aaya leke dil ka nazarana

MovieAlbela
SingerLata Mangeshkar, Chitalkar Ramchandra
DirectorBhagwan
Music ComposerChitalkar Ramchandra
LyricistRajinder Krishan
Star CastBhagwan, Geeta Bali, Pratima Devi, Bimla Kumari, Sunder, Badri Prasad

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *